Friday, April 20, 2012

Namaz

      NAMAAZ
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai
Padhle namaaz muslimNA, ab waqt jaa raha hai

Jaayega jub yahan se, pehla sawal hoga,
masjid se tu hamesha que duur bhagta tha?

Shaitaan tujko apna saidaa bana raha hai,
shaitaan se duur hoja Qur'aan bata raha hai.

... Maloom kya hai tujko paayi Namaz kaisi?
Meraj mey Khuda ne, habib e Khuda ko bakhshi

Afsos chhodker ye khushiya mana raha hai
Duniya ki ishrato mey haq ko bhula raha hai

Didar kerna hai ger, Musalla bichha Zamin per
Fir Dil ki aankh se dekh, hota hai kya maysser

Kehte hai Allah wale, hota hai kya wo munjer
Bunde ko bundgi mey Jalwa dikha raha hai

Mehsher ke roz aesa chamkega tera chehra
Chamka hai aasman per yun chaand chaudvi ka

Ye hai wuzu ka darja Qur'aan bata raha hai
Jannat ki raah tujko Qur'aan dikha raha hai

Taufiq de Elahi Aadi bane namazi ke



No comments:

Post a Comment